Saturday, August 20, 2016

"Parinda ye Naadaan"


 
sab kuchh jaan kar bhi dil kyu bane anjaan,
seh kar sitam saare bas reh jaata hairaan.
khwahishon ko jaga kar bharna chahe ye udaan,
bhula, kho chuka hai parr, parinda ye naadaan.
 
nikla ek kali jaisa, aas lagi kya rang layega,
jo dikhi rang ki jhalak, socha kya mehak failayega.
hai bekhabar khudse wo tumko kya batlayega,
iss jag ki daud dhup mein khile bina murjhayega.
 
chal pada jo raah chun kar, manzil ko wo payega.
jo saath mile apno ka, har aandhi se takrayega.
na hai prasoon bichhe kahin, jis raste bhi tu jayega,
peer seh ke jo badh chala, sachcha manuj kehlayega.
 
bharosa rakh iss vihang ka, bharega ye udaan,
dikhega nutan rang ka, poore honge jab armaan.
mukur bhi naa chhupa sakega teri ye pehchaan,
laut ayega niketan fir, parinda ye naadaan...
 
-Aniket Singh

16-June-2012
 
© Copyright 2012 Aniket Singh. All rights reserved.

Khwaabon ka Aashiyaana!!


 
khwaabon ka jo aashiyaana dil mein sajaya tha kahin,
zindagi thami si hai meri aaj bhi wahin...
tere jaane se chali gayi raunak us aangan ki,
andheri raat mein hai bas parchchai us chaandan ki...
 
 
Goonjti hai jo isme tere labzo ki leher,
naina dhoondte tujhe har ghadi har peher...
ashkon mein beet jaati hai shab-e-seher,
kuchh aisa utarta hai ragon mein judai ka zeher...
 
 
sholon sa jala hai dil teri yaadon ki aag mein,
khwaabon ka aashiyaana mera mil gaya khaak mein...
dhundta hun bikhre palon ko is bujhi raakh mein,
hai yahi ek sahara mere jeene ki khuraak mein...
 
2-April-2012
 
-ANIKET SINGH
 
© Copyright 2012 Aniket Singh. All rights reserved.

Zindagi Na Milegi Dobara...

Khwaabon mein teri mulakaat ek ittefaaq hi sahi,
labo pe ruki ye baat bole bina bahot kuch keh gayi mujhse.
ab jaana hai maine tujhse juda hokar, der se hi sahi,
mile hai wohi khwaabon mein, na hai jiska vaasta zindagi mein mujhse..
 
phir tu kyun roye yaad kar unn baaton ko,
kyun talaashe shor mein unn sannaatton ko,
na soch beete kal mein tu kya kya haara,
aaj ko jee, zindagi na milegi dobara..
 
sahilon ko shikwa lehron se hai samundar to uska hi saathi hai,
wo toh rehta saath hamesha, bas lehrein hi chali jaati hain.
tu na kar vilaap kisi ke jaane ka,
kyu kare vichaar usey phir paane ka,
haath apna badha payega tu kinaara,
beh gaya re bandhu to, zindagi na milegi dobara..
 
subah ki pehli kiran se andhera tamaam ho jayega,
bas teri ek harkat se tera ye gham gumnaam ho jayega.
nazron se aage nazar milakar to dekh zara,
safar ko tere mukaam mil hi jayega.
 
tu seekh zara aniketon se,
na dekh tu sapne mahalon ke,
jo har pal jiya, kehlaaya wo kabhi na haara,
jo thamm gayi saansein to zindagi na milegi dobara..

27-Aug-2011

 
© Copyright 2012 Aniket Singh. All rights reserved.

ऐ दोस्त !!!

था एक अनजान जब हुई मुलाकात 
दिल से मिले दिल और हाथों से हाथ \
लगा तू अपना सा जब हुई बात 
ऐ दोस्त तू बना मेरी ज़िन्दगी का साथ \\  

खुशियाँ बाटी मेरी और सुख भी मेरे 
गम भी मेरे गले लगाये  जैसे हों वो तेरे \
बना तू मेरा उज्जियारा  जब छायी घनी रात 
ऐ दोस्त तू बना मेरी ज़िन्दगी का साथ \\  

बना वो ही मैं जो ज़िन्दगी ने  मुझे बनाया 
पर हर पल जीना तो तुने ही है सिखाया \
हुई जो गुम मुस्कान मेरी  तू ढून्ढ के लाया 
ऐ दोस्त मैं हूँ जिस्म और तू है मेरा साया \\  

25-July-2011

© Copyright 2012 Aniket Singh. All rights reserved.

Sawaal


 
Ek anjaan si bechaini dil ko ghere hai
kayi saare adhoore sawaal mann mein mere hain.
sawaalon ke jawaab mann mere dil se poochhta hai
magar dil mann se uske poore sawaal poochhta hai.
 
In adhoore sawaalon ka koi kaise jawaab de
meri in jaagti soti aankhon ko fir koi khwaab de.
 
aankhon se pooche sawaal aankhen hi samajhti hain
par jawaab na mile to saansein meri ulajhti hain.
saansein rukti hain, chalti hain, fir tham jaati hain
jawaab ki talaash mein ye fir koi gam laati hain.
 
In adhoore sawaalon ka koi kaise jawaab de,
Ae zindagi tu mujhe fir se naye khwaab de.
 
andheri raat mein chaand sa chamakta mera ye ek sawaal
chotte badde taaron se bikhre tukdon se kayi jawaab.
doosre ko dekhu to pehla, pehle ko dekhu to doosra kho jaata hai
is lukka chhippi mein mera sawaal subah ke aanchal mein gum jaata hai.

24-July-2011
 
 
© Copyright 2012 Aniket Singh. All rights reserved.

Friday, August 19, 2016

Pehchaan


Bhula baitha main beete din,
Bhula diya ye sansaar.
na bhul saka jo main abhi tak,
hey pita, Wo hai tumhara pyar.

Din beeta fir raat aayi,
aise kar kar beet gaya ik saal.
Na beet saka jo dil se mere,
Hey pita, tumse bichhadne ka kaal.

Jab bhi aasman se motiyon ki toli, barasne mujh pe ayi hai.
Tumhare aashirwad aur dua ke jaisi,
hey pita, ye mujh par bikhrayi hai.

Andhiyare kamre mein mere jo
jharokhe se roshni ka teer aata hai.
Chhu leta hu usko jo main,
Hey pita, tumhare sparsh ka ehsaas karata hai.

Shyam roopi iss chaadar ko odh,
jab aankh khol ke sota hu.
bikhre hue in chamakte motiyon se,
Hey pita, tumhara naksh pirota hu.

Le aata hai koi jhoka hawa ka,
goonj wo nirmal kaan mein meri.
mil jaati hai fir, jo kho chuka tha,
Hey pita, mujhe Pehchaan meri.